Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Shamas ud Deen Turk Panipati

 

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Sheikh Shams  ud Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh Tur kistan mein peda hue. Aap ke waalid ka ism  e graami Sheikh Ahmed tha. Aap ka silsila e nasb chand waston se Hazrat Mohammad Hanif  bin Hazrat Ali se milta hai. AapSheikh Alau Din Ali Ahmed  ke khalifa thay.  ke musannif  kehte hain kay Aap ko Hazrat khwaja Fareed Gang Shakar Rahmatullah Alayh  se bhi Khirqah e khilafat mila tha aur aap inhen  ke  kehnay par Hazrat Sabir Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh   ke sath Kalair Shareef puhanche. Khidmat guzari  ki wajah se Hazrat Sabir Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh  aap ko apna beta  keh kar pukarte thay. Aap pandrah saal tak Hazrat Sabir Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh   ke ghusal, wauzu, khana pakanay aur lakriyaan laane  ki khidmat par maamoor rahay .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Jab Hazrat abir Rahmatullah Alayh   ki wafaat ka waqt qareeb aaya to Aap ne Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh ko apne paas bulaya aur Khirqah khilafat aataa kya aur irshad farmaya mere marnay  ke teen din baad Panipat ko rawana ho jana. Aap ne arz  ki kay huzoor Panipat  ki wilayat par un dinon Sharf Al Deen Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh Rahmatullah Alayh fayz hain. Mein wahan kaisay ja sakta hon. Hazrat ne farmaya un  ki wilayat ka daur khatam ho chuka hai tum wahan ponchhoge to woh shehar  ke darwazay par aa kar tumhe milein ge .

Hazrat Ali Ahmed Sabir Rahmatullah Alayh  ke wisaal  ke teen din baad Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh Panipat rawana hue. Wahan puhanche to Aap ke rehne  ki koi jagah nahi thi. Is liye aik deewar  ke saaye  ke neechay baith gaye. Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh ne noor e batin se Aap ki haalat ko dekh liya aur hujray se bahar aa gaye. Aik halwa farosh ka beta jo Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh Ka manzoor e nazar tha. Is ne Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh Se poocha kay Hazrat aap kahan ja rahay hain. Is par Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh ne kaha kay beta is ilaqay  ki wilayat aik aur buzurag  ke hawalay ho gayi hai ab mere liye hukum nahi kay is shehar mein reh sakoo .

Halwa farosh  ke betay ne kaha kay huzoor mujhe is sahib e wilayat se mulaqaat karwaen. Hazrat  Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh ne farmaya kay falan muhallay mein deewar  ke saaye mein tum ko aik mard darwaish milay ga bas wohi sahib e wilayat hain. Woh halwa farosh wahan pouncha to is ne aap ko dekha aur wapas a gaya. Is waqt Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh shehar se nikal chu ke thay. Is  ke baad Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh shehar mein daakhil hue aur Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh  ke hujray mein aaye aur phir zindagi bhar wahein qiyam kya. Is douran Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh aur Hazrat Bo Ali Qalandar Rahmatullah Alayh  aapas mein bari mohabbat aur ittehaad se rahay .

Sair ul Qatab ke musannif  likhte hain kay Panipat  ke aik Syed shakhs aap ki khidmat mein haazir howa aur poocha kay aap ki siyadat  kis tareeqay se saabit hai. Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ne farmaya hum ne apne abao ajdad se aisay hi suna hai aur hamaray paas nasb nama bhi hai. Is buzurag ne kaha kay is baat ko saabit karna bohat mushkil hai hamari tasalii nahi hui. Jab Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ne yeh baat suni to dil mein josh peda hwa aur farmaya awam al naas mein yeh baat mashhoor hai kay jo shakhs Hazrat Ali Karam Allah Wajhu   ki aulaad se hoga is par aag assar nahi karti. Aao hum dono mil kar aag mein kood jate hain jisay aag nah jalaaye gi woh Syed hoga. Yeh  keh kar Aap khanqah  ke tanoor mein kood gaye aur thori der baad is Syed ko aawaz di kay tum bhi andar aa jao taakay tumhari siyasat ka bhi pata chal jaye. Is shakhs ne tanoor mein dekha Aap barray mazay se tanoor mein baithy hue thay. Woh yeh manzar dekh kar khauf zada howa aur wapas howa hi tha kay tanoor  ke andar se aik shola nikla aur is  ke kapron par gira jis se is  ke kapron mein aag lag gayi. Woh cheekhta chalata haae haae karta dour  raha tha kay Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh tanoor se bahar niklay aur is  ki aag bujhai. Jab is shakhs  ki haalat theek ho gayi to is ne taoba  ki aur aap ka mureed ho gaya .

Sheikh Shah Ali Chishti Rahmatullah Alayh farmatay hain kay aik raat mein bistar par soya howa tha kay mere shsreekon  mein se aik bhai mere qatal  ki niyat se daakhil howa. Is ne talwar khenchi mujhe maarna hi chahta tha kay meri aankh khil gayi. Mein ne foran Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ka tasawwur karkay faryaad  ki. Mein ne dekha kay aik haath jis mein chandi  ki angothi thi achanak namo daar howa aur is shakhs ko gardan se pakar kar bahar pheink diya. Mein isi waqt utha wazu kya aur Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ke roze ki taraf chal diya. Roze par pahonch kar mein ne dekha kay aik haath roza Aqdes se bahar nikla aur mere sar par rakh diya gaya. Mein ne is haath ko chooma aur aankhon ko lagaya. Sheikh Shah Ali Chishti Rahmatullah Alayh farmatay hain kay andheray  ki wajah se mein is haath ko dekh nahi sakta tha dil mein arzoo hui kash andheri raat nah hoti aur din hota to mein is haath  ki ziyarat bhi kar saktha tha. Mera yeh sochna hi tha kay isi waqt haath  ke naakhun se roshni  ki  kiran niklee aur mein ne dekha yeh wohi haath hai jis mein chandi  ki angothi hai jo mere qatal ko nakaam karne  ke liye zahir howa tha. Mein ne roze par shukrane  ke hazaar nawafil ada  kiye, Fatiha ka tohfa paish kya aur ghar wapas aa gaya .

Sahib Sair ul Qataab  ne likha hai kay Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ne Hindustan mein nah shadi  ki nah aulaad hui magar 1050 Hijri mein Syed Safdar Khan jo Mughal hukmaran Shah Jahan  ki taraf se ka governor tha  kisi wajah se mazool ho kar apne watan wapas ja raha tha to Panipat mein Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ke roze  ki ziyarat  ke liye wahan ruk gaya. Jab is ne se Aap ke halaat e zindagi maloom  kiye to woh bohat roya aur  kehnay laga kay mein Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ki aulaad mein se hon mein Hindustan sirf  Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh  ki ziyarat  ke liye aaya tha. Mujhe maloom nah tha kay Aap ka mazaar Aqdes kahan waqay hai. Is  ke baad is ne apne nasb namay ko dekhaya jo Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ke haath se likha howa tha.Majwron ne likhai ka mawazna kya to waisa hi paaya. Syed Safdar Khan ne bataya kay Aap ne Turkistan mein shadi  ki thi. Aap ke betay ka naam Syed Ahmed tha. Hindustan mein tashreef aawri  ke baad Aap ke betay  ki wahan bohat aulaad hui. Jab yeh baat Shah Jahan tak pohanchi to is ne Safdar Khan ko dobarah wapas bulaya aur sahibzadgi  ke adab  ke paish e nazar Kabil aur Qandhar  ki hukoomat Syed Safdar Khan  ke hawalay kar di .

Hazrat Sheikh Shams Al Deen Turk Panipatti Rahmatullah Alayh ba ittafaq sadiq morakhaan 718 Hiri mein is daar e faani se rukhsat hue. Aap ki aakhri aaraam gaah Panipat Hindustan mein hai .